Wednesday, 8 August 2012

NAHI CHAHIYE

Nahi chaahiye.
sone ki choodi,
chandi ki baali,
naulakha haar,
ya ho banarsi sari.
mujhe bas laa do, meri ichhaon ke pankh.

Nahi chaahiye.
chamali ki ladi,
itra ki shishi,
hoothoon ki laali,
ya ho naino ki kaali.
mujhe bas laa do, meri aazadi.

Nahi chaahiye.
yeh chhat,
chaar deevaein,
khidkiyaan aur band darwaaze,
rivazon ki bediyan.
Joh karti hain mujhe, "mujh" main kaid.
Aur daalti hain mere mukh par taala.

Mujhe bas laa do,
mere hisse ka aakash aur vasundhara.

Saturday, 21 July 2012

FAASLE (INDO- PAK RELATION)


Yeh faasle kabhi na itne badhe hote.
Gar tumne mere badhe hue haath, apne haathon mai thaam liye hote.

Dooriyan pal- pal mai badhi,
yanh har ek pal ne ek kahani gaddhi.
Hum kabhi ek the, ek hamara samaj tha, ek hamara rashtra tha.
Tum juda hue hum se,
kaya hum na roye the?
bolo!!!
Tumhari yaadon ko hum,
kab bhula paaye the?

Dooriyan bahut tay ki hai.
gile- shikwe ab bhi kam nai hai.
Nibha li bahut dushmai,
khudi ko maar khudi koye.
Kyon na ab kareeb aane ka ek,
silsila shuru kiya jaye.

Aman bahut chhena hai,
kyon na ab aman basaane ka ek sankalp liya jaye....

Sunday, 8 July 2012

MUSKURAAHAT SE TERI - For all my loved ones :-)



Hum the bhatke hue musafir,
the andhere raaston par.
Roshni si ho gai hai,
jal uthe hai hazaron charag.
Mushuraath se teri.

Dard jam se gaye the,
naino mai humaare.
Pighal padi hai, woh burf abb.
Baha rai , woh ban ke ashk.
Mushuraath se teri.

Zindagi ko bewafa kah rahe the.
Maut ko hi samate hue the.
Zindagi lag rahi hai, khubsurat abb.
Maut dene lagi hai daga.
Muskuraath se teri.

Patjadh aa kar thahar gaye the.
Shaam ki shyahi se mukaddar likh rahe the.
Baras padhe hain, ab ke saawan.
Seher ho gai hai zindagi mai.
Mushuraath se teri.







Friday, 6 July 2012

GAHARAI



Kuch gumono ko sahej kar almaari main rakha hai,
Kuch zakhmon ko abi naasoor banana hai.
Ke, meri nazmon mai abhi gahari baaki hai ...

Thursday, 5 July 2012

POOCHHUNGA EK SAWAAL MAIN BHI...



Poochhunga ek sawaal main bhi.
Ugate hue suraj se,
bikhri hai jiski dhoop jahaan bhar mai.
Karegi kaya mere timir antar ko bhi, roshan kabhi?

Poochhunga ek sawaal main bhi.
Hawaein joh chalti hain poorv se.
Jagayengi kaya mujhe bhi, is swarth bhari nindra se kabhi?

Poochhunga ek sawaal main bhi.
Badal joh bikhre hain,
iss gagan main har kahin.
Karenge kaya mere nisthur mann ko bhi, apni nami se nam kabhi?

Poochhunga ek sawaal main bhi.
Pushp joh khilte hain upwan- kayari.
Karenge kaya satrangi, mere ahankaar ko bhi kabhi?

Poochhunga ek sawaal main bhi.
Mere "main" se,
jab milunga tanhaai mai usse.
Kaya hoga nai tu khaali,
iss timir, swarth, nisthurta aur ahankaar se kabhi?

PRABHU!
Kaya milunga,
Main apne sachche "main" se kabhi?

Khayaal...


Jab hote hai sab mere kareeb,
tab lagte hain, sab bahut door.
Jab hota nai koi mere paas,
tab lagte hain sab yahin kahin aas- paas...

Monday, 2 July 2012

MANZOOR NAHI

 MANZOOR NAHI

Hun pareshaan magar,
main lachaar nahi.
Narm aakhein dhoodti hai jinhein,
woh bas aansoo toh nai.

Khawab sajata hun chahat se apni,
magar toot jate hain beizaazat woh meri.
Isliye khawab sajana chod dun,
yeh mujhe manzoor nai.

Hun haara magar,
Main bikhara toh nai.
Woh ek manzil mujhe na mili.
Islye doosre ki talaash chod dun,
yeh mujhe manzoor nai.

Hun main mitti ka ek putla,
magar dil dhadkata hai seene mai mere.
Bin karz chukaaye mil jaaun mitti mai,
yeh mujhe manzoor nai.